Monday 28 March 2016

Blogging Mein Career Kaise Banaye? Blogging as a Career in Hindi.


Kehte Hain Dream Job, Naam Or Paisa Har Kisi Ko Nahi Milta, Lekin Agar Job Ko He Dream Bana Liya Jaye To..... Blogging Ek Aisa He Platform Hai Jaha Par Aap Sab Kuch Kar Sakte Ho, Jo Aap Karna Chaho. Bus Dimaag Main Idea, Man Main Lagan Or Dil Mai Santosh Ho To.... Yaha Sabkuch Sambhav Hai.


Navyubak Ho Ya Koi Professional Aaj Sabhi Blogging Ko Career Ke Rup Mian Apnane Ko Tyar Bethe Hain. Kyonki Sabhi Ne Suna Hai. Ki. Blogging Se Achi Kamai Ki Ja Sakti Hai. Blogging Se Paisa Kamana Asan Bhi Hai. Or Mushkil Bhi. Bloggin Kisi Nokri Ki Tarah Din Mai 8 Ghante Ka Kaam Hai. Lekin Ye Puri Tarah Ap Par Nirbhar Karta Hai. Ki Ap Essse Kaise Manage Karte Hain? Aap Blogging Main Din Mai 2 Hours De Kar Bhi Kama Sakte Hain. Or 12 Hours Dekar Bhi Kuch Nahi Melega. Blogging Main Sabse Jaruri Bat Hai Ki Ap Kitna Prabhav Shaali Dhang Se Likhte Hain, Ki Readers Bar Bar Apke Blog Ko Read Karne Ke Liye Apke Blog Par Aye. Sath Hi Yeh Bhi Jaruri Hai Ki Ap Apna Work Ko Kitni Achi Tarah Se Market Kar Pate Hain. Experienced Bloggers Batate Hain Ki 50% Lek Ki Gunvata Or 50% Apki Self Marketing Work Karti Hai. Yeh Kam Ap Anubav Se He Sikh Sakte Hain. Yeh Apko Koi Sikha Nahi Sakta...




Hum Es Lekh Main Un Binduyon Ar Charcha Kar Rahe Hain, Jo Apko Blogging Ko Career Ke Roop Mai Apnane Mai Puri Help Karengi.


Mahilayon Ke Liye Bhi Hain Moke.

House Wife Jo Hamesha Ghar Ke Kamo Mai Busy Rahti Hain, Talent Hone Ke Bawjut Bhi Jivan Ki Vaysastata Ke Chalte Career Ke Bare Main Sochkar Bhi Reh Jati Hain. Unke Liye Blogging Vardaan Ho Sakta Hai. Aap Ghar Mai Reh Kar Bhi Apna Career Bana Sakti Hain. Or Atamnirbhar Ban Sakti Hain, Aaj Aise Kai Mahilayen Hai Jinhone Ek Chote Se Blog Se Shurat Ki Or Aaj Ek Safal Or Professional Blogger Hain. Or Sath He Achi Kamai Bhi Kar Rahi Hain. 

(1) Shuruat Ke Liye Acha Hoga Ki Mahilayon Se Related Topic Likhe Jaise Cooking Blog, Beauty Tips Blog Adi Par Likhen.

(2) Eske Alawa Silaye, Kadhai, Mehandi Blog Or Sangeet Jaise Vishyon Main Bhi Agar Apki Achi Pakad Hai To Ap Usme Bhi Apna Blog Likh Sakti Hain. 

(3) Koi Bhi Bina Shuruaat Se Professional Nahi Hota Lekin Bina Shuruaat Se Ban Bhi Nahi Pata, Elsliye Shuruat Jarur Karein. 



Blog Ka Subject Chuniye.

Blog Banane Se Pehle Aap Wo Subject Choose Karein Jiske Bare Main Ap Jante Hain Or Likh Sakte Hain, Subject Aisa Hona Chaiye Jisme Aane Wali Nayi Nayi Chijo Ko Aap Asani Se Samjh Or Sikh Sakein | Jisse Apko Pathako Ke Questions Ka Uttar Dein Sakein Or Unke Samksh Naye Naye Lekh Nirantar Prastut Kar Sakein.

Jab Ap Blog Ka Vishya Chun Lein, Uske Baad Niche Di Gaye Baton Ka Pura Dhyan Rakhein -

(1) Blog Par Sirf Apne Chune Huye Subjects Se Related Lekh He Publish Karein.
(2) Blog Par Apne Vishaye Se Sambandhit Naye Lekh Niymit Roop Se Parkashit Karein.
(3) Blog Ki Social Profile Banaiye Or Blog Main Ruchi Rakhne Walon Ko Uske Bare Main Bataeye.
(4) Un Blogs Ko Follow Karein Jo Us Subject Par Likh Rahe Hon. Jis Par Ap Likh Rahe Hain.


Logo Ke Bich Akarshan Ke Kendra Baniye.

Jab Ap Naya Blog Shuru Karte Hain To Bina Jijhak Dusre Blogo, Forums Or Social Media Groups Mai Apni Upsathiti Darj Karaiye. Dhyan Rakhe Kin Ap Sirf Apne Lekho Ke Bare Main He Baat Karein. Dusre Vaykti Ke Lekh Ko Andekha Kar Dein. Jab Ap Dusre Ke Parti Help Ka Bhav Rakhennge Tabhi Apki Wo Apki Or Akarshit Honge, Eske Liye Niche Di Gayi Baton Par Pura Dhyan Dejiye.

(1) Anay Forums Or Social Groups Se Judiye.
(2) Blog Posto Par Tark Sangat Comment Likhiye.
(3) Naye Pathak Jutane K Liye Social Sites Par Logo Se Mitrata Kijiye.
(4) Apse Jada Lokpriye Blogs Or Sites Ki Samagri Ko Social Sites Par Share Kijiye.


Lekh Or Parkashit Smagari Ki Gunwatta Par Vishesh Dhyan Dijiye.

Blog Mai Akarshan Ka Parmukh Kendra Lekh Or Us Par Parkashit Smagari Hoti Hai, Veh Saral. Sapasht Or Uch Gunvatta Yukt Honi Chiaiye. Esse Anya Lokpriya Blogo Ke Smaksh Apki Dhaak Jam Jati Hai. Jisse Pathak Bahut Ki Prabhabit Hote Hain. Eske Sath He Pathko Ko Apne Blog Par Jamaye Rakhne Ke Liye Nich Di Gaye Baton Ka Pura Dhyan Dijiye. 

(1) Pathak Ko Hamesha Kuch Naya Sikhaeye
(2) Pathko Ki Ruchi Ka Pura Dhyan Rakhein.
(3) Pathko Ko Kisi Activity Mai Lagayein Rakheye.



Anya Blogs Par Bhi Lekh Parkashit Kijiye (Free Of Cost) 

Hindi Blogo Mai Log Anya Blogo Par Lekh Parkashit Karne Se Katrate Hain. Ve Nahi Ki Unki Mehnat Kisi Anya Blog Ko Raton Raat Sunhari Uchaiyeon Tak Le Jaye. Jisse Abhi Unka Blog Adhura Hai. Lekin Aisa Nahi Hai. Kuch Blogger Niswarth Bhav Se Anya Blogo Par Lekh Likhte Hain, Jisse Unhe Apni Pehchan Banane Mai Pura Moka Mil Jata Hai. Sath He Apne Blog Par Traffic Bhi Milta Hai.

Es Parkar Anya Blogo Par Lekh Parkashit Karte Samay Niche Di Gaye Baton Par Pura Dhyan Dijiye.

(1) Lekh Main Apne Blog Ka Pata Jarur Dijiye.
(2) Apne Lekh Ko Parchar Ke Roop Mai Mat Jahir Hone Dijiye.
(3) Lekh Ke End Main Apna Pura Brief Bio Dijiye.


Anya Blog Par Lekh Parkashit Karke Money Earn Karein

Jab Ap Blog Jagat Mai Uchit Samman Prapt Kar Lenge Tab Ap Anya Blogo Par Likhe Ke Liye Unse Paise Mang Sakte Hain. Ve Apko Rupee Ada Kaenge Kyonki Ve Jante Hain, Ki Log Apke Lekh Ko Padhne Ke Liye Adhik Se Adhik Apke Blog Par Ayenge. Jisse Ve Acha Blog Traffic Jama Karke Kamai Kar Sakte Hain, Or Sabhi Jante Hain, Jitna Blog Par Traffic Hoga, Utne He Vigyapan Par Click Ayenge Or Kamai Badhegi.

Jab Ap Blog Jagat Mai Dhak Bana Lete Hain, Uske Bad Ap Naye Naye Paryog Kar Sakte Hain, Esse Ap Apni Lekhan Samta Se Age Jakar Kuch Alag Kar Sakte Hain. Esme Kuch Parmukh Bate Hain.

(1) Aap Sangoshityan Kar Sakte Hain.
(2) Aap Visheshagye Ban Sakte Hain.
(3) Aap Nirdheshak Ban Sakte Hain.
(4) Aap Apne Shettar Vishesh Main Pustak Parkashit Kar Sakte Hain.

Vigaypan Se Kamai Ke Bare Mai Soch Banaiye

Blog Jagat Mai Kamai Ka Sabse Saral Sadhan Vigyapan Samjha Jata Hai. Vigyapan Lagao Or Paise Kamao.
Jabki Aisa Bilkul Nahi Hai. Vigyapan Bhar Dikhane Se He Apki Income Nahi Hoti Hai. Us Par Click Bhi Ane Chaiye. Click Bhi Aisa Jinka Daam Parti Click Daam Adhik Ho. Hindi Blog Par Dikhne Wale Vigyapano Par Adhiktam 0.12 Dollar Ka He Cpc Ata Hai. Lekin Adhikanshteh: Ek Click Ka Daam 0.04 Ka He Cpc Ata Hai. To Aap Samjh Sakte Hain. Ki Vigyapno Par Kitne Click Ho Tab Apki Achi Amadani Ho Sakti Hai. Blog Par Amdani Ka Sidha Sambandh Blog Ke Traffic Se Hota Hai. Jinta Jada Padthak Honge Utne He Adhik Clicks Ki Sambhavna Rahegi. Ateh Vigyapan Ke Bare Main Kisi Andhvishwas Ko Sthan Na Dein.


Last Main.

Blogging Ko Career Ke Tor Par Apnane Ke Liye Jaruri Hai Ki Aap Apni Marketing Parbhavshali Dhang Se Karein Or Apne Chune Hue Subjects Main Sabse Acha Likein. Ateh Apni Soch Ko Sakaratamk Rakhte Hue Sarthak Lekh Likhein Or Aam Admi Se Lekar Khase Admi Sabhi Ka Dhyan Rakhiye Or Badhiya Blogging Karke Bharat Ka Gaurav Badhaiye. 


2 comments:

  1. nice .. keep it up bro

    https://www.techxbyte.in/

    ReplyDelete
  2. nice .. keep it up bro

    https://www.techxbyte.in/

    ReplyDelete